Wednesday, August 22, 2007

Tum yaad aaye

Yaad kiya hai maine tumhe
Suraj ke ugne se
Uske bujhne tak
Chand ki roshni mein
Taaron ki chaadar ke saath

Yaad kiya hai maine tumhe
Tapti garmi mein
Kaanpti sardi mein
Patjhad ke mausam mein
Aur saawan ki rimjhim boondon ke saath

Yaad kiya hai maine tumhe
Shorogul mein
Khamoshi mein
Kabhi tanhayi mein
Hoti thi jab kabhi tamaam logon ke saath

Yaad kiya hai maine tumhe
Naaraaz hokar
Kabhi pyar se
Kabhi hanste hue
Kabhi aansuon ki barkha ke saath

Yaad kiya hai maine tumhe

Har pal har ghadi
"Kya mujhe kiya tumne kabhi yaad?"

Dil mein is sawaal ke saath

I was inspired by Javed Akhtar's lyrics of the song Tum Yaad Aaye to pen the above few lines. Below is original one for comparison.

Album: Tum Yaad Aaye

Music: Raju Singh

Lyrics: Javed Akhtar

Singer: Alka Yagnik

Jab geet baharon ne gaaye
Tum yaad aaye
Jab khushboo ke badal chaaye
Tum yaad aaye
Jab subahon ne rang chalkaaye
Tum yaad aaye
Jab mehke shaamon ke saaye
Tum yaad aaye
Tum yaad aaye

Jab koi sunehra din aaya
Jab mausam jhooma lehraya
Jab rut ne li ek angadayi
Jab dhoop mein garmi si aayi
Jab rang naye kaliyon ko mile
Jab daali daali phool khile
Jab phoolon pe bhavrein mandalaaye
Tum yaad aaye
Jab geet...

Jab koi sunehri raat aayi
Jab taaron ki baaraat aayi
Jab ambar mein taare damke
Jab aangan mein jugnu chamke
Jab hui ghaneri khamoshi
Jab chaayi halki behoshi
Jab raat ne tan mann pighalaaye
Tum yaad aaye
Jab geet...

No comments: