Showing posts with label Shayari. Show all posts
Showing posts with label Shayari. Show all posts

Friday, January 19, 2007

Lo aaj phir

Lo aaj phir is dil ne usko kiya yaad
Mudke na dekha humein jisne chale jaane ke baad

Lo aaj phir humne uska liya naam
Mita diya jisne har saath bitaaye pal ka naamo nishaan

Lo aaj phir dhadkan uske liye thami
Mehsoos jisko na hui hamari kuch bhi kami

Lo aaj phir aankh hamari uske liye bheegi
Nazaron mein jiski ab kisi aur ki mohabbat hai basti

-----------------------------------------------------------
How is this senti shayari?? :D

Thursday, October 12, 2006

Ek aur sher...


Pehle pyar karna nahi jaanti thi,
Ab bhulana nahi jaanti.
Dil toot jaane ke baad,
Kaise jodte hain use yeh nahi jaanti.

Pehle dil mein basaana nahi jaanti thi,
Ab wahaan se nikaalna nahi jaanti.
Jaanewaale ka intezaar kyon karta hai dil,
Is sawaal ka jawaab nahi jaanti.
-------------------------------------------------------------------------------
PS: The first line of this sher is actually a dialogue, from the the movie Kal Ho Na Ho, which I like a lot. I've just added some more lines to it. :)

Friday, October 06, 2006

Arz kiya hai ...


Kisi bewafa se wafa kya karna
Bhula diya hai jisne humein, usko yaad kya karna







Kisi ki jhoothi mohabbat ko dil mein kya rakhna
Gham mile hain jo bhi, unka hisaab kya rakhna





Jo nahi ho sakta tumhara, uski aarzoo kya karna
Nayi manzilein talaash kar, purane raaston ka kya karna

Friday, September 29, 2006

Shero-shaayari from Aamir Khan films

Fanaa

Bhool ke humse jo bhool ho gayi ho
Toh bhool samajh kar bhula dena
Lekin bhulaana sirf bhool ko
Galti se bhi humein na bhula dena

Dur humse jaaoge kaise?
Humko bhool paaoge kaise?
Hum woh khushboo hai jo saanson mein baste hain
Apni saanson ko rok paaoge kaise?



Sarfarosh

Milte hi nazarein dil milaaya nahi jaata
Aaghaaz ko anjaam banaaya nahi jaata

Phool khilte hain bahaaron ka samaa hota hai
Aise mausum mein hi toh pyaar jawaan hota hai
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte
Yeh fasaana toh nigaahon se bayaan hota hai



1947-Earth

Husn ki chakki chali
Ek daana phas gaya
Tum phase toh kya phase Dilnawaaz
Saara zamaana phas gaya